Wednesday, May 13, 2009

Baray mukhtsir se haroof main koi gehri baat suna gia


Baray mukhtsir se haroof main koi gehri baat suna gia
kisi khawb sa koi shakhs tha jo sehar se pehlay chala gia

Humain asman se gila nahin teri rehmaton pe yaqeen hay
jahan zindagi nain shikist di kisi mojazay nain bacha lia

Kisi mehraban ki duaon se ye safar naseeb huwa mujhay
jinhain rehbari ka gharoor tha unhain raston nain mita dia

Sada hansty rehnay ka hosala teri aarzoo nain ata kia
baray gehray zakhm thy waqt nain jinhain rafta rafta bhula dia

Teri dosti ki ye peshkash bari dilferaib lagi magar
woh jo atbar ka wasf tha kahin dil se door chala gia

Koi waqt tha ke ye naam bhi bara motabir tha jahan main
woh jo tery ishq ka dor tha humain ba kamal bana gia

Tahir.ashraf22@gmail.com

1 comment: