Saturday, May 9, 2009

Ae Dil mere musafir…….



Meray dil meray musafir
Hua phir sey hukm sadir


K watan badar hon hum
tum
dein gali gali sadain

karein rukh nagar nagar ka

Ke suraagh koi paein


Kisi yar e nama bar ka

Har ik ajnabi sey poochein


Jo pata tha apney ghar ka

Sar e kooey nashenayan


Hamein din sey raat karna

Kabhi iss sey baat karma


Kabhi us sey baat karma

Tumhein kya kahoon key kya hey


Shab e gham buri balaa hey

Hamein yeh bhi tha ganeemat


Jo koi shumaar hota

Hamein kya bura tha marna

Agar eik baar hota


Tahir.ashraf22@gmail.com

No comments:

Post a Comment