Saturday, May 9, 2009

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker


Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker

Meri Jaagi Howi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker

Mera Kiya Hall Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Wadah Banker

Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar
Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker

Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Tahir.ashraf22@gmail.com

2 comments: