Monday, May 4, 2009
khud say roothoon tou kaii roz na khud say boloon
khud say roothoon tou kaii roz na khud say boloon
phir kisi dard ki deewar say lag kar rou loon
tu samandar hai tou phir apnii sakhawat bhi dikhaa
kia zaroori hai keh main piyaas ka daaman kholoon
main keh ik sabar ka sehraa nazar aataa hoon tujhay
tu jo chaahay tou teray wastay dariya rou loon
aur maeyaar rafaaqat kay hian, aesa bhi nahin
jo muhabbat say milay saath ussi kay hou loon
khud ko umroun say muqaffal kiye baithaa hoon
woh kabhi aayee tou khalwat-kada- e-jaan kholoon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment