Monday, May 18, 2009

Usey apney farda kifikr thi wojo mera wakif-e-haal tha



Usey apney farda kifikr thi wojo mera wakif-e-haal tha

Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal tha


Kahan jao ge mujhe chor kr mei ye poochpooch k thak gea

Wo jawab bhi na de saka wo to khud sarapa sawaal tha


Wo jo us ke samne aa gea wohi roshni mein naha gea

Ajab us ki haibat-e-husan thi ajab uska rang-e-jamal tha


Dam-e-wapsi pe kia hua na wo roshni na wo taazgi

Wo sitara kaise bikhar gea wo to ap apni misaal tha


Sadion k baad mila b to merey lab pe koi gila na tha

Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha


Wo mujhe se mil k ro diya faqt itna wo keh saka

Jise jaanta tha wo zindagi wo to bas wahm-o-khayaal tha


Tahir.ashraf22@gmail.com

No comments:

Post a Comment