Saturday, May 9, 2009

~~!!|| Kabhi Aah Lab Pe Machal Gai ||!!~~



Kabhii aah lab pe machal gaii
Kabhii ashk aankh se dhal gaye

Vo tumhaare gham ke chiraagh hain
Kabhii bujh gaye kabhii jal gaye

Main khayaal-o-khvaab kii mahfilein
Na baqadr-e-shauq sajaa saka

Tumhaarii ik nazar ke saath hii
Mere sab iraade badal gaye

Kabhii rang mein kabhii ruup mein
Kabhii chaanv mein kabhii dhuup mein

Kahiin aaftaab-e-nazar hain vo
Kahiin maahtaab men dhal gaye

Jo fanaa huye gham-e-ishq mein
Unhein zindagii kaa na gham huaa

Jo na apnii aag mein jal sake
Vo paraaii aag mein jal gaye

Yaa unhen bhii merii tarah junuun
To phir un mein mujh mein ye farq kyaa

Main giraft-e-gham se na bach sakaa
Vo huduud-e-gham se nikal gaye

Tahir.ashraf22@gmail.com

No comments:

Post a Comment