Wednesday, May 6, 2009

Chandni Raat Hai Aur Alam-E-Tanhayi



Chandni Raat Hai Aur Alam-E-Tanhayi
Zindagi Yaad Ke Daman Mein Simat Aayi Hai

Maar Dale Na Kahin Dard-E-Judayi Mujhko
Ab To Aaja Ke Meri Jaan Pe Ban Aayi Hai

Utre Utre Nazar Aate Hai Phoolon Ke Chehre
Tere Jaane Se Gulistan Par Khizan Chhayi Hai

Jisne Barbaad Mohabbat Mein Kiya Tha Kal Tak
Woh Aankhein Aaj Mere Haal Pe Sharmayi Hai

Tere Maykhane Mein Jitni Bhi De De Saaki
Aaj To Maine Bhi Peene Ki Kasam Khayi Hai

Jis Jagah Kuch Nazar Nahi Aata Hai Jalwon Ke Siwa
Zindagi Us Mod Pe Mujhe Le Aayi Hai...

1 comment: