Monday, May 18, 2009

NaKaam Hasraton Ke Siva Kuch Nahi Raha



NaKaam Hasraton Ke Siva Kuch Nahi Raha
Dunia Main Ab Dukhon Ke Siva Kuch Nahi Raha

Ek Umar Ho Gayee Hai Ke Dil Ki Kitab Main
.Kuch Khushk Patton Ke Siva Kuch Nahi Raha

Yaden Kuch Is Tarha Se Sama’at Pay Chaa Gaeen
Pichli Rafaqton Ke Siva Kuch Nahi Raha

Lab See Liay Tu Apnay Hi Kamray Main Youn Laga
Khamosh Aayino Ke Siva Kuch Nahi Raha

Jazbay Tamam Kho Gaiay Lamhon Ki Dhool Main
Ab Dil Main Dharkanon Ke Siva Kuch Nahi Raha

Tahir.ashraf22@gmail.com

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon



Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon

Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon


Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai

Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon


Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon

Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardo


Tuu Mujhey Mohabbat ka Agaaz de Sanam

Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardoon


Mohabbaton ke Qaseeday likhoon Teri Sanaa mai

Hazaron Pyaar ke Peghaam Tere Naam kardoon


Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai

Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon


Tahir.ashraf22@gmail.com

Tuje dekhe bina teri tasvir bana sakta hoon



Tuje dekhe bina teri tasvir bana sakta hoon


Tuje mile bina tera hal bata sakta hoon


meri dosti me itna dum hai keh


teri ankh ka "ANSU"


APNI ankh se gira sakta hoon


Tahir.ashraf22@gmail.com

Saja saktay thay yadoon k kaye chahray kaye paikar



Saja saktay thay yadoon k kaye chahray kaye paikar
Magar kuch soch k hum nay yeh ghar weeran rakha hai

Humain shoq e aziat hai wagarn is zamanay main
Tairi yadain bhoolany ko bohat saman rakha hai

Tumhain yeh man-na hoga k hum nay apnay lab see kar
Sakoot e shub ki muthhi main koi toofan rakha hai

Tahir.ashraf22@gmail.com

Usey apney farda kifikr thi wojo mera wakif-e-haal tha



Usey apney farda kifikr thi wojo mera wakif-e-haal tha

Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal tha


Kahan jao ge mujhe chor kr mei ye poochpooch k thak gea

Wo jawab bhi na de saka wo to khud sarapa sawaal tha


Wo jo us ke samne aa gea wohi roshni mein naha gea

Ajab us ki haibat-e-husan thi ajab uska rang-e-jamal tha


Dam-e-wapsi pe kia hua na wo roshni na wo taazgi

Wo sitara kaise bikhar gea wo to ap apni misaal tha


Sadion k baad mila b to merey lab pe koi gila na tha

Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha


Wo mujhe se mil k ro diya faqt itna wo keh saka

Jise jaanta tha wo zindagi wo to bas wahm-o-khayaal tha


Tahir.ashraf22@gmail.com

Main wakt key kohsaar pe sadion se khara hun








Main wakt key kohsaar pe sadion se khara hun

hathon main mere dard e mohabbat ka alum hai


ye sab to teri shokh nigahon ka bharem hai

poojon to Khuda hath lagaon to sanam hai


Tahir.ashraf22@gmail.com

Wednesday, May 13, 2009

Na thi humari kismat ke wisaley yaar hota



Na thi humari kismat ke wisaley yaar hota

Agar aur zinda rehtey to yehi intezar hota


Teray waadey pe jiye to yeh jhoot jaana

Khushi se mar na jatey agar aitebar hota


Tahir.ashraf22@gmail.com

Ik shakhs ke kho janay ka dar kiyun nahin jata


Ik shakhs ke kho janay ka dar kiyun nahin jata
Ye bhoj mere dil se utar kiyun nahin jata

Manzil pe puhanch kar usay khona pade ga
Ye tay hai to phir shauq-e-safar kiyun nahin jata

Tahir.ashraf22@gmail.com

ik diya dil main jalana bhi bujha bhi dena


Ik diya dil main jalana bhi bujha bhi dena

yaad karna bhi usse rooz bhula bhi dena


Kya kahon yeh meri chahat hai ke nafrat uss ki?

naam likhna bhi mera likh ke mita bhi dena


Phir nah milne ko bicharta tu hoon tujh se lekin

morr ke dekhon tu palatne ki dua bhi dena


Khat bhi likhna usse mayoos bhi rehna uss se

jurm karna bhi magar khud ko saza bhi dena


Mujh ko rasmoon ka takaluf bhi gawara lekin

Ji main aay to yeh diwaar gira bhi daina


Tahir.ashraf22@gmail.com

Baray mukhtsir se haroof main koi gehri baat suna gia


Baray mukhtsir se haroof main koi gehri baat suna gia
kisi khawb sa koi shakhs tha jo sehar se pehlay chala gia

Humain asman se gila nahin teri rehmaton pe yaqeen hay
jahan zindagi nain shikist di kisi mojazay nain bacha lia

Kisi mehraban ki duaon se ye safar naseeb huwa mujhay
jinhain rehbari ka gharoor tha unhain raston nain mita dia

Sada hansty rehnay ka hosala teri aarzoo nain ata kia
baray gehray zakhm thy waqt nain jinhain rafta rafta bhula dia

Teri dosti ki ye peshkash bari dilferaib lagi magar
woh jo atbar ka wasf tha kahin dil se door chala gia

Koi waqt tha ke ye naam bhi bara motabir tha jahan main
woh jo tery ishq ka dor tha humain ba kamal bana gia

Tahir.ashraf22@gmail.com

Ab mulaaqaat mein vo garm-e-jazbaat kahan



Ab mulaaqaat mein vo garm-e-jazbaat kahan

ab tu rakhne vo mohabbat ka bharam aate hain


chashm-e-Saaghar hai ibadat k tasavor mein sada

Dil k Qabay mein khayalon k sanam aate hain


Tahir.ashraf22@gmail.com

Bina Jurm o Khata Khud Ko Koi Aisi Saza Dena


Bina Jurm o Khata Khud Ko Koi Aisi Saza Dena
Bahut Mushkil Hai Meri Jan Tumhein Bilkul Bhula Dena

Mere Maula! Agar Tu Ne Dobara Zindagi Bakhshi
To Bas Itni Guzarish Hai Mujhy Pathar Bana Dena

Main Zehni Tor Par Khud Ko Zara Tayyar Kar Loon Gi
Bichar Jany Se Kuch Pehlay Mujhay Humdum Bata Dena

Tumhari Yeh Shrarat Aj Tak Naqsh Hai Dharkan Par
Daby Paaon Chaly Ana,Mera Jhumka Hila Dena

Phir Is Ke Baad Jis Ke Pass Bhi Tum Jao,Ijazat Hai
Mujhy Ik Baar Apny Naam Ki Mehandi Laga Dena

Faqat Itna Kaha Tha Na,Mujhy Kuch Roshnee De Do
Tumhein Kis Ne Yeh Bola Tha,Meri Basti Jala Dena

Jisay Barish Ke Pani Mein Baha Kar Muskuraty Thy
Mujhy Kaghaz Ki Wo Kashti Zara Phir Se Bana Dena

Umar Bhar Phir Tumhara Rasta Takney Se Acha Hai
Ke Tum Jany Se Kuch Pehly Meri Ankhein Bhuja Dena

Tumhein Is Bar Khat Mein Faqat Yeh Bat Likhni Hai
Ke Sawan Laut Aya Hai,Mujhy Jhoola Jhula Dena!

Tahir.ashraf22@gmail.com

Saturday, May 9, 2009

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker


Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker

Meri Jaagi Howi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker

Mera Kiya Hall Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Wadah Banker

Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar
Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker

Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Tahir.ashraf22@gmail.com

Ae Dil mere musafir…….



Meray dil meray musafir
Hua phir sey hukm sadir


K watan badar hon hum
tum
dein gali gali sadain

karein rukh nagar nagar ka

Ke suraagh koi paein


Kisi yar e nama bar ka

Har ik ajnabi sey poochein


Jo pata tha apney ghar ka

Sar e kooey nashenayan


Hamein din sey raat karna

Kabhi iss sey baat karma


Kabhi us sey baat karma

Tumhein kya kahoon key kya hey


Shab e gham buri balaa hey

Hamein yeh bhi tha ganeemat


Jo koi shumaar hota

Hamein kya bura tha marna

Agar eik baar hota


Tahir.ashraf22@gmail.com

Barish k Baaad.....


Hogaye rukhsat ghata barish k baaad

Aik diya jalta raha barish k baaad

Meray behtay huyey Anson ko dekh ker

Roo pari thandi hawa barish k baad

Meri tanhai ka daman tham ker

Kuch udasii nay kaha Barish k baaad

Yaad teri Orh ker main so gaya

Khwab ka daar khul gaya barish k baad

Chand dekh ker badloon ki qaid main

Aik sitara roo dia barish k baaad

Apnay ghar ki her katchi dewar per

Naam tera likh dia barish k baaad


Tahir.ashraf22@gmail.com

Woh Silsalay, Woh Shok, Woh Nisbat Nahi Rahi



Woh Silsalay, Woh Shok, Woh Nisbat Nahi Rahi

Ab Zindagi Main Hijer Ki Wehshat Nahi Rahi


Toota Hai Jab se Uski Masihai Ka Talism

Dil Ko Kissi Masiha Ki Haajat Nahi Rahi


Phir Yu Hua Kay Koi Shanasaa Nahi Raha

Phir Yu Hua Kay Dard Main Shiddat Nahi Rahi


Phir Yu Hua Kay Ho Gaya Masroof Woh Bohat

Aur Humko Yaad Kernay Ki Fursat Nahi Rahi


Ab Kya Kissi Ko Chahein K Hum Ko Toh In Dino

Khud Apne Ap Se Bhi Muhabbat Nahi Rahi...!!!


Tahir.ashraf22@gmail.com

~~~Dukh Kia Hota Hy~~~



Dukh Kia Hota Hy


Tum ne poocha k


Dukh kia hota hai


To suno


Aisa kern


Kabhee kisi ko chahna


Or chahtey hee rehna


Din bhar us ko sochtey hee rehna


Jagtee ankhoon se us k sapney


Dekhtey hee rehna


Apney haathon ki lakeeron mein us ka


Naam tarashtey hee rehna


Or jab kabhee woh


In riazaton ka hisaab mangney ko


Saamney aaye to


Tum ana ka haath thaam lena


Agar woh kuch kahay to


Muskura ker anjan ban jana


Or jab woh mayoos ho ker laut jaye to


Apney ander jhaankna


Or khud se poochna


Tub tumhara dil


Tumhein bata day ga k


Tahir.ashraf22@Gmail.com


~~!!|| Kabhi Aah Lab Pe Machal Gai ||!!~~



Kabhii aah lab pe machal gaii
Kabhii ashk aankh se dhal gaye

Vo tumhaare gham ke chiraagh hain
Kabhii bujh gaye kabhii jal gaye

Main khayaal-o-khvaab kii mahfilein
Na baqadr-e-shauq sajaa saka

Tumhaarii ik nazar ke saath hii
Mere sab iraade badal gaye

Kabhii rang mein kabhii ruup mein
Kabhii chaanv mein kabhii dhuup mein

Kahiin aaftaab-e-nazar hain vo
Kahiin maahtaab men dhal gaye

Jo fanaa huye gham-e-ishq mein
Unhein zindagii kaa na gham huaa

Jo na apnii aag mein jal sake
Vo paraaii aag mein jal gaye

Yaa unhen bhii merii tarah junuun
To phir un mein mujh mein ye farq kyaa

Main giraft-e-gham se na bach sakaa
Vo huduud-e-gham se nikal gaye

Tahir.ashraf22@gmail.com

Thursday, May 7, 2009

:~*~~~PHIR KISI YAAD NAY~~~*~



Phir kisi yaad nay rulaya mujhko

Kiya saza di hai mohabat ne mujhko


*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*

Din ko aaram hai na rat ko hai chain

Jaane kis mitti ka qudrat ne banaya mujhko


*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*

Dukh to ye hai ki zamane main mile ghair sabhi

Jo mila, woh mila ban ke paraya mujhko


*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*

Jab na mila kandha muje rone ko Ghar ki

deewaron ne seene se lagaya mujhko


*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*

yun to wafa ka sila tum se nai tha koi Phir

charaghon ki tarah kis ne jalaya mujhko


*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*

Bewafa zindagi ne jab chorh diya hai tanha

Maut ne piyar say pehlu main bithaya mujhko

*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*

Woh diya hoon jo mohabat ne jalaya tha kabhi

Gham ki andhi ne ek pal main bujhaya mujhko

*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*

kaise bhoolonge pyare ke vo lamhe

Yaad aate hai guzare hue lamhe mujhko


*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*

By: Sweet Ghazal

*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar


Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar,
Dil Se Dil Ka Rishta Apni Jagah,

Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen,
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah,
By Sweet Ghazal

Mujhe or us ki khabar nahi mujhe or us ka pata nahi



Mujhe or us ki khabar nahi mujhe or us ka pata nahi

magar itna mujh ko yakeen hai k woh shakhs dil ka bura nahi


Yeh malaal kaisa malaal hai tere dil mein bhi mere dil mein

kah khafa hain kitne dinoo se hum per labon pe koi gila nahi


Yeh gaye dinoo ka hai maajra, mera chehra tha uss ka aaina

yeh hai aaj subah ka vakeya, mujhe dekh k woh ruka nahi


Tujhe bhoolne ki saza hai yeh, k kitni bahaarein guzar gayi

koi nazm dil mein khili nahi, koi sher dil mein khila nahi

Tahir.ashraf22@gmail.com

Andhere rastoon mein yuoon teri ankhain chamkti hain



Andhere rastoon mein yuoon teri ankhain chamkti hain
Khoda ki barktain jaise paharoon par otrti hain

mohabat karne wale jab kabhi ansoo bahate hain
dilon k aaine dhoti howi palkain sanwarti hain

dhowan si badluon ko dekh kar aksar woh kehta tha
hamesha chandni mein bewafa rohain bhatki hain

hmari zindgi mein koi phool ban k aaya tha
usi ki yaad mein ab tak yeh tehrirain mehkti hain

mujhy lagta hai jiger dil khinch kar chla aata hai hathon par
tujhy likhon to meri ongliyan aysi dharkti hain
Tahir.ashraf22@gmail.com