Monday, June 29, 2009

Aks-e-Khushboo Hoon Bikhernay Say Na Rokay Koi



Aks-e-khushboo hoon bikhernay say na rokay koi
Aur bikhar jaoon' to mujh ko na samaitay koi

Kaan'p uthtee houn main ye soch k tanhai mein
Meray chehray pay tera naam na parh lay koi

Jis tarha khwab meray ho gaye raiza raiza
As tarha say na kabhi toot k bikhray koi

Main to us din say hirasan' hoon k jab hkm milay
Khushk patton' ko kitabon' mein na rakhay koi

Ab to is rah say wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis ummeed pay darwazay say jhankay koi

Koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi
Dil ki galyaan' bari sunsan hain aye koi

Tahir.ashraf22@gmail.com

No comments:

Post a Comment