Monday, June 29, 2009

Mahfil Ne Jab Asuul Puraane Badal Liye



Mahfil ne jab asuul puraane badal liye
Yaaron ne bebasii mein thikaane badal liye

Na jaam wo rahaa na wo saakii mein taab hai
Hum ne bhii aaj apne paimaane badal liye

Ye karwaan-e-zindagii rukataa nahin kabhii
Go kaarwaan ne taur-taraane badal liye

Aise bhii aaye pyaar kii raahon mein walwale
Merii wafaa ne apne fasaane badal liye

Jin baaz aankhon se hatatii na thii nazar
Us ne ab apne nishaane badal liye.


Tahir.ashraf22@gmail.com

Kabi Zid Mai Tera Ho Gaya



Kabi Zid mai Tera ho gaya

Kabi Dil ne Tujh ko Ganwa dia

Is Kash-Ma-Kash mai Jiya Sanam!!
Tu ne Yaad rakha ya Bhula dia?

Kabi Be-Basi mai hi Hans dia
Kabi Hansi ne hi Rula dia

Kabi Phool se rahi Be-Rukhi
Kabi Khaar se Haath mila lya

Kabi ek ko apna na kar sake
Kabi khood ko sab ka bana lya

Yun hi Din guzar gaye Pyaar k
Yun hi Khwabat khood ko bana lya

Jo mila nahi wo Mera hua
Jise kho dia use Paa lya

Ye Ajab khel hain Pyaar k
Ek hi Khayal se hi Nibha lya

Tahir.ashraf22@gmail.com





Koi Dhundla Sa Ik Chehra Meri Ankhon Main Rehta Hai




Koi dhundla sa ik chehra meri ankhon main rehta hai
koi bhatka sa ik JuGnO mere khawabon main rehta hai

Aik manoos si awaz mujhay sonay nahin deti
Hoii uljha sa ik jumla meri yadon main rehta hai

Hay kis k shabnami anchal ki khushboo ab talak mujh main
koii ehsaas mehka sa meri sansoon main rehta hai

Mujhay khud per nahin qabo na main kuch bol sakta hon
Asar yeh kis k lafzon ka meri baton main rehta hai

Tahir.ashraf22@gmail.com

Us Ney Kaha Mujh Sey Kitna Piyar Hai



Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai
Main ney kaha sitaron ka koi shumar nahin

Us ney kaha k kon tumhin hai bohat aziz ?
Main ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai

Us ney kaha Kon sa Tofah tumhin main doon
MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai

Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz
Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai

Us ney kaha senkron gham zindagi main hain
Main ney kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai

Us ney kaha saath kahan tak nibhaon gay
Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai

Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah
Main ney kaha, naam mera aetbaar hai

Tahir.ashraf22@gmail.com

Woh Paani Kee Lehron Pe Kiya Likh Rehi Thee



Woh paani kee lehron pe kiya likh rehi thee


Khuda jaaney "harf e dua" likh rehi thee,

likha jis nay nawal wafa ka adhoora

wohee "pyaar kee inteha" likh rehi thee

bhala kartay kartay guzaaree jawanii

magar phir bhe khud ko bura likh rehi thee

mohabbat main nafrat mili thee usay bhe

jo har shakhs ko "be wafa" likh rehi thee

zara us kee aankhon se aansoo na niklay

woh jis waqt lafz "saza" likh rehi thee

Namaz e Mohabbat main woh apnay

hoay thay jo sajday,"qaza" likh rehi thee

Tahir.ashraf22@gmail.com



Aks-e-Khushboo Hoon Bikhernay Say Na Rokay Koi



Aks-e-khushboo hoon bikhernay say na rokay koi
Aur bikhar jaoon' to mujh ko na samaitay koi

Kaan'p uthtee houn main ye soch k tanhai mein
Meray chehray pay tera naam na parh lay koi

Jis tarha khwab meray ho gaye raiza raiza
As tarha say na kabhi toot k bikhray koi

Main to us din say hirasan' hoon k jab hkm milay
Khushk patton' ko kitabon' mein na rakhay koi

Ab to is rah say wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis ummeed pay darwazay say jhankay koi

Koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi
Dil ki galyaan' bari sunsan hain aye koi

Tahir.ashraf22@gmail.com

Koi Baat Esi Kiya Karo, Koi Lafz Esa Kaha Karo



Koi Baat Esi Kiya Karo, Koi Lafz Esa Kaha Karo
Mile Jis Se Dil Ko Qaraar Sa, Koi Shair Esa Padha Karo

Nahi Dukh Main Es KO Rakha Karo, Kabhie Sukh Bhi Esko Diya Karo
Ye Udas Hai Kayi Roz Se,Mere Dil Main Aa Ke Raha Karo

Jo Kathin Kathin Se Hain Raaste,Ye Sabhi Hain Kyon Mere Waaste
Ye Jo Jal Raha Hoon Main Aag Main, Kabhie Tum Bhi Es Main Jala Karo

Abhi Taq Tumhari He Aas Hai, Mere Dil Ke Ab Bhi Tu Paas Hai
Hai Ye Dil TUmhare Hisaar Main,Ese Meri Jaan Rehaa Karo

Mera Din Ho Ya Meri Raat Ho,Faqat Ek TUmhari He Baat Ho
Abhi Jese Tum Mere Saath Ho, Uoonhi Mere Sath Raha Karo

Tahir.ashraf22@gmail.com


Koi Mera bhi To Ho Saath Nibhanay Ke Liye



Koi mera bhi to ho saath nibhanay ke liye

Mujhe maangey KHUDA se apna bananey ke liye

Mere aansoo meri palkon se churanay ke liye

Bas wohi ho mujhe seenay se laganey ke liye

Yun to hain chahnay walay bohat se dunya mein

Nahin hai koi magar saath nibhanay ke liye

Din bhar khwaab jo tootay thay samaitay humne

Phir so gaye naye khwaab sajanay ke liye

Roz ik Jehd-e-Musalsal mein laga rehta hoon

Meri saanson ki rawaani to faqat dhoka hai

Haan main zinda hoon magar sirf dikhanay ke liye

Tahir.ashraf22@gmail.com

Kabhi Milne Chaly Aao



Bari be cheen basti hay kabhi milne chaly aao
Ye dunya mujh pe hasti hay kabhi milne chaly aao

Muddat ho gai tera deedaar na hua "sanam"
Meri aankhen tarsti hain kabhi milne chaly aao

Koi bhi pal nahi guzra jo ho teri yaad se khali
.tanhai mujh ko dasti hay kabhi milne chaly aao

"Sanam" tery jany k baad mujh ko ye ehsaas hota hay
Tujh se hain sansen meri qaim kabhi milne chaly aao

Tujhy kesy kahen "sanam" k mujhy teri shdidad se yaad aati hay
"sanam" naam hi naqash dil per kabhi milne chaly aao

Tahir.ashraf22@gmail.com

Wednesday, June 24, 2009

Ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo



Ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo
Bhale cheen lo muJhse meri jawaani

Magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan
Wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

Mohalle ki sabse nishaani purani
Wo buDhiya jise bachche kehte the naani

Wo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRa
Wo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka phera

BhulaaYe nahiN bhool saqta hai koi
Wo choti see raateN wo lambi kahaaNi

KaDi dhooP meiN apne ghar se nikalna
Wo chiDiya wo bulbul wo thithli pakaDna

Wo guDiya ki shaadi pe laDna jHagaDna
Wo JhooloN se girna, wo giR ke sambhalNa

Wo pithal ke challoN ke pyaare se tho'fe
Wo TuTi hui chudiYoN ki nishaani

Kabhi re't ke ooNche Tilon pe jaana
GharOnde banana, banaake miTaana

Wo maasoom chaahat ki tasveer apni
Wo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apni

Na duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhan
BaDi khoobsoorat thi wo zindgaani

Tahir.ashraf22@gmail.com

Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai



Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai
Kaagaz ki haveli hai, baarish ka zamaana hai

Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamaana hai,
Aawaz bhi zakhmi hai, aur geet bhi gaana hai

Uss paar utarne ki ummeed bahot kam hai
Kashti bhi purani hai, toofan ko bhi aana hai

Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke
Ek shaqs ko aakhon se, ek sher sunaana hai

Bholi si adaa,koi phir ishq ki zidd par hai
Phir aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai

Tahir.ashraf22@gmail.com

Saturday, June 6, 2009

Hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahii.n



Hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahii.n

Mere naGmaat ko a.ndaaz-e-navaa yaad nahii.n


Mai.n ne palako.n se dar-e-yaar pe dastak dii hai

Mai.n vo saahil huu.N jise ko_ii sadaa yaad nahii.n


Mai.n ne jin ke liye raaho.n me.n bichhayaa thaa lahuu

Ham se kahate hai.n vahii ahad-e-vafaa yaad nahii.n


Kaise bhar aa_ii.n sar-e-shaam kisii kii aa.Nkhe.n

Kaise tharraa_e charaaGo.n kii ziyaa yaad nahii.n


Sirf dhu.ndhalaa_ii sitaaro.n kii chamak dekhii hai

Kab huaa kaun huaa kis se khafaa yaad nahii.n


Zindagii jabr-e-musalasal kii tarah kaTatii hai

Jaane kis jurm kii paa_ii hai sazaa yaad nahii.n


Aao ik sajdaa kare.n aalam-e-madhahoshii me.n

kahate hai.n ke "Sagar" ko Khudaa yaad nahii.n


Tahir.ashraf22@gmail.com

Ujrey hoyen logon se gorezan na howa kar



Ujrey hoyen logon se gorezan na howa kar

Halat ki qabron ke ye kathbe b parha kar

Har waqt ka hansna tujhe barbaad na kardey
Tanhai ke lamhon main kabi ro b liy akar

Aye dil tujhe doshman ki pehchaan kahan hai
tu halqaye yara mai b mohtaat raha kar

Es shakhs k tumsey b marasim hai tu honge
wo jhoot na boly ga mery saamne aa kar

Ab tokren kaye ga kahan ae gham-e-ahbaab
Main nain tu kaha tha k mery dil main raha kar

Is shab k moqadar mai saher hi nahin Tahir,
Daikha hai kai baar charaghon ko boja kar

Tahir.ashraf22@gmail.com

Thursday, June 4, 2009

Yun To Guzer Reha Hey Her Pal Khushi Key Sath


Yun To Guzer Reha Hey Her Pal Khushi Key Sath
Phir Bhi Koi Kami Si Hey Keyun Zindagi Key Sath

Rishtey Wafain Dosti Sab Kuch To Pass Hey
Kiya Baat Hey Pata nahi Dil Keyun Udas Hey

Her LAMHA Hey Hasen Nai Dil Kashi Kay Sath
Phir Bhi Koi Kami Si Hey Keyun Zindagi Kay Sath

Chahat Bhi Hey Sakoon Bhi Hey Dil-Bari Bhi Hey
Ankhoon Main Khawab Bhi Hain Labon Per Hansi Bhi Hey

Dil Ko Nahi Hey Koi Sehkaiyat Kisi Kay Sath
Phir Bhi Koi Kami Si Hey Keyun Zindagi Kay Sath

Socha Tha Jeysa Weisa He Jewan To Hai Mager
Abh Aur kis Telash Main Bechan Hey Nezar

Qudrat Bhi MaharBaan Hey Dariya Dili Key Sath
Phir Bhi Koi Kami Si Hey Keyun Zindagi Key Sath

Yun To Guzar Raha Hey Her Pal Khusi Key Sath
Phir Bhi Koi Kami Si Hey Keyun Zindagi Key Sath

Tahir.ashraf22@gmail.com

Kaha Main Nay Kahan Ho Tum



Kaha Main Nay Kahan Ho Tum
Jawab Aya Jahan Ho Tum

Mere Jeevan Say Zaahir Ho
Mere Gham Mein Nishaan Ho Tum

Meri Tou Saari Duniya Ho
Mera Sara Jahan Ho Tum

Meri Sochon Ka Mehwar Ho
Mera Zor-e-Bayaan Ho Tum

Main Hoon Lafz Muhabbat Hoon
Mere Ansoon ki Zuban Ho Tum

Tahir.ashraf22@gmail.com

AIk LAkeer TeraY Nam Ki



AIk LAkeer TeraY Nam Ki


kuch udaas kuch khamosh


kuch bebas see lakeerien


merey haath ki?


Dhoondta Rehta hoon


aksar in Lakeeron main


Aik lakeer tere naam ki


Kuch maloom bhi hey


Kuch dil bhi janta hey


Ke in lakeeron main


koi lakeer Nahi tere naam ki


Phir bhi naa jane kion


dhondta Rehta hoon


Aksar ek lakeer tere naam ki


Aik lakeer terey naam ki....


Tahir.ashraf22@gmail.com

Chahat Kay Is Dharay Per



Chahat Kay Is Dharay Per

Darya Or Kenaray Per

DIL Ko Aaj Azaad Kia

Main Nay Tum Ko Yaad Kia


Tanhaee Ke Ratoon Main

Khud He Batoon Batoon Main

Is DIL Ko Yoon Shaad Kia

Main Nay Tum Ko Yaad Kia


Jab Say Tum Ko Dekha Hay

Jab Say Tum Ko Chaha Hay

Har Ak Pal Faryaad Kia

Main Nay Tum Ko Yaad Kia


Is Jewan Kay Nesaaboon Main

Or Ratoon Kay Khawaboon Main

Jaag Kay Bhi DIL Shaad Kia

Main Nay Tum Ko Yaad Kia


Phool Ka Khilnay Say Phelay

Tum Ko Milnay Say Phelay

Khud Ko Tu Barbadd Kia

Main Nay Tum Ko Yaad Kia


Tahir.ashraf22@gmail.com

Teri Yaad say rishta kal bhi tha



Teri Yaad say rishta kal bhi tha
Teri yaad say rishta aaj bhi hay

Dil apna dukhta kal bhi tha
aur afsurda aaj bhi hay

Wo pyar jo kal hum tum say kartay thay
Wo pyar to zinda aaj bhi hay

Tum doore hoyea majboori may
Hum doore hoyea iss doorie may

KAbhi waqt milay tou chalay aana
Intizaar tera kal bhi tha or aaj bhi hay

Tahir.ashraf22@gmial.com

Ab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Humne



Ab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Humne

Us Ki Her Baat Bhula Di Humne


Ek , Ek Phool Bohat Yaad Aaya

Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Humne


Aaj Tak Jis Pay Woh Sharmatay Hain

Baat Woh Kab Ki Bhula Di Humne


Sheher-E-Jahan Raakh Say Abad Hua

Aag Jab Dil Ki Bujha Di Humne


Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Who

Aaj Phir Us Ko Dua Di Humne


Koi To Baat Hai Us Main

Her Khushi Jis Pay Luta Di Humne


Tahir.ashraf22@gmail.com


Jab Tasavvar Mera Chupke Se Tujhe Chhoo Aaye



Jab Tasavvar Mera Chupke Se Tujhe Chhoo Aaye
Apni Her Saans Se Mujhko Teri Khushboo Aaye

Mashghala Ab He Mera Chaand Ko Takte Rehna
Raat Bher Chen Na Mujhko Kisi Pehloo Aaye

Jab Kabhi Gardish-E-Doraan Ne Sataaya Mujhko
Meri Jaanib Tere Phehley Hue Baazoo Aaye

Jab Bhi Socha Ke Shab-E-Hijr Na Hogi Roshan
Mujhko Samjhane Teri Yaad Ke Jugnoo Aaye

Mujhse Milne Ko Sar-E-Shaam Koi Saayaa Sa
Tere Aangan Se Chaley Aur Lab-E-Joo Aaye

Uske Lehje Ka Aser To Hey Badi Baat Hai Tahir.
Woh To Aankhon Se Bhi Kerta Huwaa Jadoo Aaye


Tahir.ashraf22@gmail.com